Nav Kalame

from Prayers in Hindi by Dada Bhagwan

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $0.50 USD  or more

     

lyrics

Nav Kalme

Gnani purush Dadashri ne apne jivan mein sidhdha ki hui in navkalmo ki bhavana karna sabko sikhaya hai. jiska anusaran karke asankhya logo ne apne is jivan ko hi nahi, par bhavobhav ka sudhar kar diya hai. Navkalmo ki bhavana samaj ke sath har roj karne se hamare kai dosh dhul jate hai aur andar ke bhav badal jate hai.Ham bhagwan ko bhi achche lagne lagte hai.

1. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari jivaatma ka kinchitmatra bhi aham na dubhe, na dubhaya jaye, ya dubhane ke prati anumodana na ki jaye aisi param shakti do.
Muje kisi dehdhari jivatma ka kinchitmatra bhi aham na dubhe, aisi syadvad vani, syadvad vartan aur syadvad manan karne ki param shakti do.

2. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dharma ka kinchitmatra bhi praman na dubhe, na dhubhaya jaye, ya dubhane ke prati anumodana na ki jaye aisi param shakti do.
Muje kisi bhi dharma ka kinchitmatra bhi praman na dubhaya jaye aisi syadvad vani, syadvad vartan aur syadvad manan karne ki param shakti do.

3. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari updeshak, sadhu, sadhvi ya aacharya ka avarnvad, apradh avinaya na karne ki param shakti do .

4. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari jivaatma ke prati kinchitmatra bhi abhav, tiraskar kabhi bhi na kiya jaye, na karvaya jaye ya karta ke prati na anumodit kiya jaye aisi param shakti do.

5. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari jivaatma ke sath, kabhi bhi kathor bhasha, tantili bhasha, na boli jaye, na bulvayi jaye ya bolne ke prati anumodana na ki jaye aisi param shakti do.
Koi kathor bhasha, tantili basha bole to muje, mrudu ruju bhasha bolne ki shakti do.

6. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari jivatma ke prati stri, purush ya napunsak koi bhi lingdhari ho to uske sambandha mein kinchitmatra bhi Vishay vikar sambanbhi dosh, ichchhaye, cheshtaye, ya vichar sambnadhi dosh na kiye jaye, na karvaye jaye, ya karta ke prati anumodana na ki jaye aisi param shakti do.
Muje nirantar nirvikar rehene ki param shakti do.

7. He antaryami parmatma! muje kisi bhi ras mein, lubdhata na ho aisi shakti do.
Samrasi ahar lene ki param shakti do.

8. He antaryami parmatma! muje kisi bhi dehdhari jivatma ka pratyaksha athva paroksha, jivit athva mrut, kisi ka kinchitmatra bhi avarnavad, aparadh, avinaya na kiya jaye na karvaya jaye ya karta ke prati anumodana na ki jaye aisi param shakti do.

9. He antaryami parmatma! muje jagat kalyan karne mein nimit banane ki param shakti do, shakti do, shakti do.

Jai sat chit aanand

credits

from Prayers in Hindi, track released January 1, 2015

license

all rights reserved

tags

If you like Dada Bhagwan, you may also like: